Per asli kam Behroop Boht
Jahaan saya kam ho dhoop Boht
Chall Insha aapny gaoon mein…
Bethein gay sukh ki chhaon mein
keyon teri aankh sawalii hai?
Yahan her ek Bat niralii hai
Es dais Baseraa mat krna….
Yahaan muflis hona gali hai
Chall Insha aapny gaoon mein
Bethein gay sukh ki chaon mein
Jahan sachy rishtaay yaroon ky
Jahan wadey pkay piyaroon ky
jahan ghongat zewar naroon ky
jahan jharne komal sur wale
jahan saz bajen bin taron k
Chall Insha aapny gaoon mein
Bethein gay sukh ki chaon mein….







